Ek aisa din jab suhaagin women apne pati ke sukh aur lambi umr ke liye vrat rakhti hain.
Is saal Karwa Chauth hai 10 October 2025 Krishna Paksha Chaturthi, Kartik month.
Din bhar nirjala vrat rakha jata hai. Shaam ko shubh samay me Chauth Mata ki pooja aur chand ko dekhkar vrat todna shubh hota hai.
Shaam ko pooja ke liye phool, chunari, dahi, ghee, shakkar aur mithai ka prayog hota hai. Deepak aur agarbatti se pooja aur bhi pavitra ban jati hai.
Phool, chunari, kaccha doodh, dahi, ghee, shakkar, mithai, deepak, agarbatti, akshat, peeli mitti aur sindoor.
Din bhar shraddha aur niyam ke saath nirjala vrat rakhein. Shaam ko chand ko dekhkar apne pati ke liye lambi umr ki kamna karein.
Ek din jo bhakti, shraddha aur suhaag ka samman karta hai – pati aur parivar ke liye prem bhara tyohar.